sab jhad phunk sikh gae shaikh ji se hum murghe ko zabh karte hain ulti chhuri se hum bachpan mein kya ataik kiya tha zukaam ne parhez kar rahe hain abhi tak dahi se hum habit kuchh is tarah hui kha kha ke dalda jiz-biz se hone lagte hain khushbu-e-ghi se hum munh apna ek bar jala tha jo dudh se pine lage hain phunk ke maththa tabhi se hum jis shaeri se shaikh hain faqe mein mubtala rozi kama rahe hain usi shaeri se hum khushbu-e-murgh aati hai har lafz lafz se karte hain guftugu jo kisi maulwi se hum aane do waqt tum ko chakhaenge wo maza is zimn mein bataen bhala kya abhi se hum jab se hua hai mahfil-e-'bazagh' se rabta nagah kat gae hain sabha mein sabhi se hum