sab kahin pichhe chhut-chhat gae wo zamane wo that-bat gae kaun tolega tujh ko phulon mein wo taraazu gai wo bat gae hum se achchhe rahe hamare buzurg zindagi sadgi se kat gae ab raha kya hai in kitabon mein kaam ki baaten log chat gae phir kahin bhi ye ji laga hi nahin hum to jaane ko ghat ghat gae pyas apni bujha ke pagal log sab kuen raste ke pat gae jaane kis ke hisab mein 'alam' raaten bojhal to din sapat gae