sab ke ghar mein ye charaghan nahin dekha jata
By hamza-bilalFebruary 26, 2024
sab ke ghar mein ye charaghan nahin dekha jata
juz tere koi bhi shadan nahin dekha jata
kya kahen ye gham-e-dauran nahin dekha jata
hijr ka chand farozan nahin dekha jata
hum hain majnun ke parastar miyan hum se to
suna suna ye bayaban nahin dekha jata
hum wafaon ka taqaza nahin karte us se
hum se wo shakhs pasheman nahin dekha jata
main to sabir hun kabhi uf nahin karta lekin
yar hamrah-e-raqiban nahin dekha jata
dil mein raunaq to rahe tu na sahi aur sahi
ab to khali ye khumistan nahin dekha jata
aa tere haq mein du'a kar dun ai dushman mere
mujh se ab tu bhi pareshan nahin dekha jata
shahr wale to ye kah kah ke taras khate hain
aisa barbaad sukhan-dan nahin dekha jata
itna tarik hai ye daur hamara 'hamza'
ab koi sahib-e-‘irfan nahin dekha jata

43440 viewsghazal • English