sab ki aankhon mein jo samaya tha

By abu-mohammad-saharMay 20, 2024
sab ki aankhon mein jo samaya tha
kaun tha wo kahan se aaya tha
kis ne ki aaj pursish-e-ahwal
koi apna tha ya paraya tha


mit gae hum to ye hua malum
bhul kar koi muskuraya tha
ek lazzat thi khud-farebi mein
warna kis ne fareb khaya tha


aa gain yaad phir wahi baaten
kal ba-mushkil jinhen bhulaya tha
sab the aaseb-e-bazm ke mare
hum pe tanhaiyon ka saya tha


umr guzri 'sahar' mohabbat mein
hum ne dil kuchh ajib paya tha
38920 viewsghazalEnglish