sab ko bachao khud bhi bacho fasla rakho ab aur kuchh karo na karo fasla rakho khatra to muft mein bhi nahin lena chahiye ghar se nikal ke mol na lo fasla rakho filhaal is se bachne ka hai ek rasta wo ye ki is se bach ke raho fasla rakho dushman hai aur tarah ka jang aur tarah ki aage badho na pichhe hato fasla rakho hal bhi talash kar liya jaega an-qarib tum is waba ko badhne na do fasla rakho rakhne ki bas ye tin hi chizen hain in dinon himmat rakho yaqin rakho fasla rakho karte ho jis tarah bure logon se ijtinab achchhon se bhi gurez karo fasla rakho