sab ko hai manzur us rukhsar-e-gul-gun ki taraf dekhta hai kaun meri chashm-e-pur-khun ki taraf sath naqa ke khuda jaane kidhar ram kar gai gard-e-mahmil bhi na pahunchi aah majnun ki taraf jaan-o-dil mein be-tarah bigdi hai tere ishq mein kijiye dil ki taraf ya jaan-e-mahzun ki taraf zulf-o-rukh hai roz-o-shab kya dekhte rahte ho tum munsifi se tuk to dekho apne maftun ki taraf khizr tak kijo madad tu bhi ki ta bhule na rah naqa-e-laila chala hai aaj majnun ki taraf garche hain teri hi gardish se nigah ki hum kharab par ishaara is ka kar dete hain gardun ki taraf kyunki aawe chain tere wahshiyon ko baad-e-marg khak ho kar jab talak jawen na hamun ki taraf nam mein bhi hai ayan aashiq ki aashufta-sari dekhte to hoge aksar bed-e-majnun ki taraf bas-ki us ki zulf ke aashufta hain hum ai 'hasan' sher mein bhi dhyan hai pechida mazmun ki taraf