sab log kahani mein hi masruf rahe the dar-asl adakar haqiqat mein mare the jate hue kamre ki kisi chiz ko chhu de main yaad karunga ki tere hath lage the aankhen bhi teri fath na kar pae abhi tak kis lamha-e-bekar mein hum log bane the hum yunhi kisi baat ko dil par nahin lete nuqsan ziyaada the so ghabrae hue the itna hi bata sakta hun ahbab ke bare kuchh tir meri pusht ki jaanib se chale the main ne to kaha tha ki nikal jate hain donon us waqt kahani mein sabhi log nae the