sab ne honton se laga kar tod dala hai mujhe kuza-gar ne jaane kis mitti se dhaala hai mujhe is tarah to aur manzar ki udasi badh gai main kahin khud mein nihan tha kyun nikala hai mujhe shakh par rah kar kahan mumkin tha mera ye safar ab hawa ne apne hathon mein sambhaala hai mujhe kyun sajaana chahte ho apni palkon par mujhe raegan sa khwab hun aankhon ne tala hai mujhe ek zara si dhup ko le kar ye hangama hua meri hi parchhaiyon ne raund dala hai mujhe jaane kitne chand tare raat ke jangal mein the yaad lekin ek jugnu ka ujala hai mujhe ek dhadakte dil se main ne khud ko patthar kar liya ab buton ke sath hi bas rakhne wala hai mujhe zindagi ne apna koi khwab bunne ke liye ek ek dhage ki surat khol dala hai mujhe