sab neamaten hain shahr mein insan hi nahin kuchh yun ki jaise ye koi nuqsan hi nahin ek aayat-e-wajud hun mitti ke dher mein mere nuzul ki to koi shan hi nahin kabina-e-wujud ka main bhi hun ek wazir aisa ki mera koi qalam-dan hi nahin ye jang ab kahan ho badan mein ki ruh mein goya ki ishq ka koi maidan hi nahin dast-e-junun bhi tang hua dasht-e-ishq mein ab chaak kya karun ki gareban hi nahin hairan hun apne qatl ka ilzam kis ko dun tauhid mein to shirk ka imkan hi nahin 'ehsas' ne buton mein khuda ko kiya sharik is shirk ke baghair to iman hi nahin