sab phul uTha lae the jis dam mein aae
By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
sab phul utha lae the jis dam mein aae
sad-shukr mere bheje hue kaam mein aae
jogi ko nae phere ki fursat hi kahan ab
milna ho jise hujra-e-badnam mein aae
ye bagh munasib hi nahin sair ki khatir
sab zagh-o-zaghan dida-e-gulfam mein aae
farman ye jari kiya us ne ki mera nam
aae bhi agar bhul se dushnam mein aae
chum aae tere dhoke mein dahliz kisi ki
kuchh shakl-o-shabahat bhi dar-o-baam mein aae
gardish ne zamane ki to bas khun nichoda
ras aai hamein raat na din kaam mein aae

28204 viewsghazal • English