sab samajhte hain ki fankar nashe mein dhut hai

By sajid-raheemFebruary 28, 2024
sab samajhte hain ki fankar nashe mein dhut hai
jo nibhana hai wo kirdar nashe mein dhut hai
hum ko har roz diye jate hain jaise bhashan
saf lagta hai ki sardar nashe mein dhut hai


main ne thama hai use apne sahaare ke liye
log samjhe hain ki diwar nashe mein dhut hai
parsai teri rukhsat ki ghadi aa pahunchi
chandni shab hai mera yar nashe mein dhut hai


dekhna ye hai ki pul par karega kaise
ek jannat ka talabgar nashe mein dhut hai
‘ishq-zadi ko main bechunga milan ke sapne
bagh hai sabz kharidar nashe mein dhut hai


us ko bachpan se faqat dard mila hai sab se
wo jo din raat lagatar nashe mein dhut hai
puchhte hain ye ludhakte hue patthar 'sajid'
baat phaili hai ki kohsar nashe mein dhut hai


82762 viewsghazalEnglish