sab se behtar hai ki mujh par mehrban koi na ho ham-nashin koi na ho aur raaz-dan koi na ho mariye is hasrat mein gar qatil na hath aawe kahin roiye apne pe khud gar nauha-khwan koi na ho bich mein hai mere us ke tu hi ai aah-e-hazin sulh kyunkar howe jab tak darmiyan koi na ho shikwa kis se kijiye khaliq ki marzi hai yahi nukta-chin paida hon lakhon nukta-dan koi na ho mujh talak qatil to qatil maut bhi aati nahin kis ko dije jaan jab khwahan-e-jaan koi na ho mane gar koi nasihat 'arif'-e-dil-khasta ki bhul kar bhi wala-e-atish-bajaan koi na ho