sab sitare luTa diye maine

By tajwer-shakeelMarch 1, 2024
sab sitare luta diye main ne
ashk sare baha diye main ne
ek us shakhs ke liye khud ko
rog kya kya laga diye main ne


kyon du'a 'arsh tak nahin jati
baam-o-dar tak hila diye main ne
us ne be-sakhta kaha barish
aur aansu baha diye main ne


dil ko har bar tod jata tha
qufl is par laga diye main ne
jis ne sun kar bhi an-suni kar di
dard us ko suna diye main ne


jab jahan jis pe raj kar dale
pyar mantar sikha diye main ne
ishq-e-taza ki hiddaten tauba
khat purane jala diye main ne


apne matlab se jo mile har dam
wo bhi rishte nibha diye main ne
'tajwar' 'ishq ka taqaza tha
gham utha kar chhupa diye main ne


53949 viewsghazalEnglish