sab tarah ke haalat ko imkan mein rakkha har lamha use soch mein wijdan mein rakkha hijrat ki ghadi hum ne tere khat ke alawa bosida kitabon ko bhi saman mein rakkha mujh ko meri qamat ke mutabiq bhi jagah di ye phul utha kar kabhi gul-dan mein rakkha? ek umr guzari nae aahang se lekin ajdad ki aqdar ko bhi dhyan mein rakkha ek roz siyah raat hatheli pe saja kar sahra ne qadam khitta-e-gunjaan mein rakkha honton ko sada rakkha tabassum se ibarat ek zahr-bujha tir bhi muskan mein rakkha