sab ukhaD gain meKHen jab lagain taswiren
By ameer-nehtauriNovember 15, 2021
sab ukhad gain mekhen jab lagain taswiren
chikhti hain diwaren kyon sajain taswiren
tez ho gain yaro aur dhadkanen dil ki
kapkapate honton se jab lagain taswiren
aaine ki kirchon ko dekh dekh rote hain
ek hawa ke jhonke ne kya girain taswiren
teri meri chahat par kitna tanz karte the
jal gae jahan wale jab dikhain taswiren
na-gahan umand aae meri aankh mein aansu
aaj kuchh lifafon se hath aain taswiren
jaise koi dhan wala apna dhan chhupata ho
hum ne sari duniya se yun chhupain taswiren
ai 'amir' hum jin ko dekh dekh jite the
nafraton ke shoalon ne wo jalain taswiren

46917 viewsghazal • English