sab umr to jari nahin rahta hai safar bhi

By bismil-aghaiOctober 28, 2020
sab umr to jari nahin rahta hai safar bhi
aata hai kisi din to bashar laut ke ghar bhi
manzil to badi shai na mili rahguzar bhi
bandha tha bade shauq se kya rakht-e-safar bhi


andar se phahonde hue diwar bhi dar bhi
dekhe hain bade logon ke hum ne bade ghar bhi
har samt hai virani si virani ka aalam
ab ghar sa nazar aane laga hai mera ghar bhi


tanhai-pasand itna bhi mat ban ye samajh le
tanhai mein hai chain to tanhai mein dar bhi
pagal hai pata puchh raha hai mere ghar ka
kya khana-ba-doshon ka hua karta hai ghar bhi


75308 viewsghazalEnglish