sab zarurat ka to saman hai ghar mein rahiye

By vineet-aashnaNovember 24, 2020
sab zarurat ka to saman hai ghar mein rahiye
kya hua gar koi halkan hai ghar mein rahiye
bhid mein bhi na the sine se lagane wale
aaj to shahr hi viran hai ghar mein rahiye


sans ghut jaegi diwaron ke ke andar ek din
aur sunte hain ki darman hai ghar mein rahiye
band hain mandir o masjid ki dukanen sari
aaj bazar ye sunsan hai ghar mein rahiye


kal talak mulk se bahar jo kiye dete the
ab to un ka bhi ye farman hai ghar mein rahiye
har maraz mein nahin hoti hai suhulat itni
bhuk se marna to aasan hai ghar mein rahiye


qaid phir qaid hi hoti hai magar hasb-e-haal
sab se behtar yahi zindan hai ghar mein rahiye
aap dil se mujhe be-dakhl kiye dete hain
ab to sarkar ka elan hai ghar mein rahiye


us ki taswir in aankhon ke liye kafi hai
aur phir mir ka diwan hai ghar mein rahiye
89221 viewsghazalEnglish