saba banate hain ghuncha-dahan banate hain tumhaare waste kya kya sukhan banate hain sinan o tir ki lazzat lahu mein ram kare hai hum apne aap ko kis ka hiran banate hain ye dhaj khilati hai kya gul zara pata to chale ki khak-e-pa ko teri pairahan banate hain wo gul-izar idhar aaega sau daghon se hum apne sine ko rashk-e-chaman banate hain shahid-e-naz ghazab ke hunar-waran nikle lahu ke chhinton se apna kafan banate hain tumhaari zat hawala hai surkh-rui ka tumhaare zikr ko sab shart-e-fan banate hain