sabab kya puchhte ho ishq ki aashufta-haali ka diwana hai kisu dilbar ki waz-e-laubaali ka bhara hai shahd kanon mein samaat ki halawat se kahun kya zaiqa shirin-dahan ki khush-maqali ka teri aankhon ke aage ro ke aah-e-sard bharta hun ki nit hai zauq maston ko hawa-e-barshagali ka dil-e-be-tab jiyun simab-hasrat se tadapta hai ada se jab lahakta hega moti us ki baali ka kiya hun ishq mein tarif us mah-ru ke abru ki har ek misra hai mera rashk diwan-e-hilali ka