sabhi hain jhuThe to sach main hi bol kar dekhun

By shakeel-azmiFebruary 29, 2024
sabhi hain jhuthe to sach main hi bol kar dekhun
bahut andhera hai lekin tatol kar dekhun
mera charagh bujhega ya raushni hogi
hawa ke sath ye jhagda bhi mol kar dekhun


pata chale ki mera shahr kitna behis hai
faza mein zahr kisi roz ghol kar dekhun
ye dekhna hai wo kitna qarib aata hai
us ajnabi se zara mel-jol kar dekhun


pakad rakhe hain kai khwab meri aankhon ne
jo nind aae to darwaza khol kar dekhun
suna hai 'ishq mein diwangi zaruri hai
tu ek lai mein badal main bhi dol kar dekhun


tu zindagi hai to ho jaun main fana tujh mein
tu film hai to koi main bhi role kar dekhun
52879 viewsghazalEnglish