sabhi khaDe the sharik-e-zamana hote hue

By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
sabhi khade the sharik-e-zamana hote hue
kisi ne roka na ghar se rawana hote hue
charagh bujhte chale ja rahe hain silsila-war
main khud ko dekh raha hun fasana hote hue


achanak ek sitara falak se tut gaya
mere bhi shamil-e-bazm-e-shabana hote hue
mera hamesha un alfaz par yaqin raha
jo munkashif hue lab se ada na hote hue


isi tarah ke hain jitne bhi dukh hamare hain
saron pe chhanw nahin shamiyana hote hue
mera bhi nam hai fehrist-e-mujriman mein likha
main dekhta raha khali khazana hote hue


parind laut ke aane hi par nahin raazi
koi to baat hai jo aashiyana hote hue
'ajab wo log the aazar bhi 'ajab un ke
zamin chhod gae aab-o-dana hote hue


yahan to khastagi-e-baam-o-dar pe chup hain sabhi
koi tadapta hai bairun-e-khana hote hue
mera kamal ki main is faza mein zinda hun
du'a na milte hue aur hawa na hote hue


harif tha mere dushman ka wo magar main ne
'jamal' ki nahin bai'at bahana hote hue
12250 viewsghazalEnglish