sabhi ko muskura kar mar Dala

By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
sabhi ko muskura kar mar dala
bache hum so dara kar mar dala
ye qabristan us ki milkiyat hai
naya naqsha dikha kar mar dala


mohabbat mein fana hona nahin tha
kisi ne warghala kar mar dala
un aankhon ka bada sauda tha hum ko
hamein aankhen dikha kar mar dala


latife khub khidmat-gar ke the
hamein to kal hansa kar mar dala
bas ek majnun hi tha madd-e-muqabil
use sahra mein ja kar mar dala


81058 viewsghazalEnglish