sabhi paDhte rahe chehra hamara

By zeeshan-kavishMarch 1, 2024
sabhi padhte rahe chehra hamara
kisi ne dil nahin dekha hamara
sitam ki aandhiyan dartin thin hum se
kabhi aisa bhi tha rutba hamara


wo hum ko har tarah se bha gaya hai
jise bhaya nahin chehra hamara
wahi rasta raqibon ne chuna ab
bahut pahle tha jo rasta hamara


tumhaare bin hamari haisiyat kya
milo tum to badhe darja hamara
47375 viewsghazalEnglish