sabr kar dil-e-nadan kis liye tu rota hai

By arshad-minangariApril 21, 2021
sabr kar dil-e-nadan kis liye tu rota hai
bewafa zamane mein kaun kis ka hota hai
jis ko main ne bakhshe hain phul shadmani ke
ab wahi mere dil mein khar-e-gham chubhota hai


na-murad ashkon se tar to ho gaya daman
han magar lahu dil ka dil ke zakhm dhota hai
kar-gah-e-hasti mein mutmain nahin koi
dekh kar har ek surat aaina bhi rota hai


waqt yun utar aaya zulm ke tariqe par
roz khun-e-insan se aastin bhigota hai
jo bhi iman rakhta hai maslahat-parasti par
gulshan-e-mohabbat mein gham ke bij bota hai


aaina haqiqat ka rakh ke samne dekhe
aadmi zamane mein khud waqar khota hai
is qadar badhi 'arshad' zindagi ki hairani
aaj-kal har ek insan rote rote sota hai


93894 viewsghazalEnglish