sabr-o-sukun-o-hosh gae intizar mein

sabr-o-sukun-o-hosh gae intizar mein
ab kuchh nahin raha hai mere ikhtiyar mein

hum is tarah rahe chaman-e-rozgar mein
sukhe kabhi khizan mein na phule bahaar mein

aa jaan-e-arzu ki tere intizar mein
gulshan mein dilkashi na kashish lala-zar mein

kunj-e-qafas mein aatish-e-gul ne ghazab kiya
chaaron taraf se aag laga di bahaar mein

kahta hai aur kis ko safar-dar-watan jahan
main ajnabi hun aaj-kal apne dayar mein

mai-khana-e-alast se elan ho gaya
saqi ka izn-e-am hai ab ki bahaar mein

kis ki nawed-e-amad-o-amad hai ai khuda
kyon aag si lagi hai tanaffus ke tar mein

jo chahta hai karta hai wo karsaz hai
kis ko hai dakhl marzi-e-parwardigar mein

sham-e-hayat bujh gai ya dil bujha 'qadir'
ya inqalab ho gaya lail-o-nahaar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close