sad-chaak gareban liye nikle ho kahan ko
By nand-kishore-anhadFebruary 27, 2024
sad-chaak gareban liye nikle ho kahan ko
parkhun to zara ek rafugar ki zaban ko
ek dil tha mujhe yaad hai mahsus kiya tha
ek bar tasalli se to sina mera jhanko
nam-dida ba-mushkil ho dukh itna hi laga hai
main khol na dun zabt mujhe kam nahin aan ko
ek koh ko pahle tha pighalne hi se matlab
darkar hai ek rah bhi ab aab-e-rawan ko
awwal to ye ek naql hai aur naql bhi bhondi
kya aur bataun tere andaz-e-bayan ko

80516 viewsghazal • English