sada-e-dil ibaadat ki tarah thi nazar shama-shikayat ki tarah thi bahut kuchh kahne wala chup khada tha faza ujli si hairat ki tarah thi kaha dil ne ki badh ke us ko chhu lun ada khud hi ijazat ki tarah thi na aaya wo mere ham-rah yun to magar ek shai rifaqat ki tarah thi main tez o sust badhta ja raha tha hawa harf-e-hidayat ki tarah thi na puchh us ki nazar mein kya the meyar pasand us ki riayat ki tarah thi mila ab ke wo ek chehra lagae magar sab baat aadat ki tarah thi na ladta main ki thi chhoti si ek baat magar aisi ki tohmat ki tarah thi koi shai thi bani jo husn-e-izhaar mere dil mein aziyyat ki tarah thi