sada kuchh aisi mere gosh-e-dil mein aati hai koi bina-e-kuhan jaise ladkhadati hai racha hua hai fazaon mein ek athah hiras dimagh shal hai magar ruh sansanati hai mujhe yaqin hai aandhi koi uthi hai kahin ki lau charagh-e-shabistan ki thartharaati hai umid yas ke gahre khamosh jangal mein hawa-e-sham ki manind sarsaraati hai sawal hai gham-e-hasti ke bit jaane ka ye zindagi to bahar-haal bit jati hai khayal-e-umr-e-guzishta zara tawaqquf kar zamin qadmon ke niche se nikli jati hai main apni aag mein jal kar kabhi ka khak hua ye zindagi mujhe kya khak mein milati hai nishana-baz falak tere nawakon ki khair ki jin ki zad pe mere hauslon ki chhati hai lachak hi jati hai shakh apne aashiyan ki bhi chaman mein gati hui jab bahaar aati hai fughan-e-dard labon par na aaiyo zinhaar meri saliqa-shiari pe baat aati hai idhar ye girya-e-abr aur udhar wo khanda-e-barq mizaj-e-dahr mere dost tanziyati hai rahin-e-rasm-o-riwayat ho jis ki but-shikani wo but-shikan bhi haqiqat mein somnati hai bapa hai shor-e-qayamat dimagh mein 'akhtar' zaban-e-khama magar zamzame lutati hai