sadaen de ke musalsal bula raha hai mujhe

By shehzad-anjum-burhaniJanuary 5, 2024
sadaen de ke musalsal bula raha hai mujhe
ye kaisa dard hai andar se kha raha hai mujhe
abhi bujhe nahin fanus-e-chashm mein kuchh khwab
hawa-e-farda ka khadsha sata raha hai mujhe


bujhe sharar hain hawa-e-visal ki zad par
teri nazar ka ishaara bata raha hai mujhe
main zabt karta raha khul ke ro nahin paya
ye ek hunar tha jo patthar bana raha hai mujhe


nawa-e-girya-o-zari buland karta hun
wo shadmani ke qisse suna raha hai mujhe
mujhe bhi 'ilm hai anjam-e-kar kya hoga
ye kaun ghaib se zahir mein la raha hai mujhe


34721 viewsghazalEnglish