sadgi par us ki mar jaane ki hasrat dil mein hai bas nahin chalta ki phir khanjar kaf-e-qatil mein hai dekhna taqrir ki lazzat ki jo us ne kaha main ne ye jaana ki goya ye bhi mere dil mein hai garche hai kis kis burai se wale bain-hama zikr mera mujh se behtar hai ki us mahfil mein hai bas hujum-e-na-umidi khak mein mil jaegi ye jo ek lazzat hamari sai-e-be-hasil mein hai ranj-e-rah kyun khinchiye wamandagi ko ishq hai uth nahin sakta hamara jo qadam manzil mein hai jalwa zar-e-atish-e-dozakh hamara dil sahi fitna-e-shor-e-qayamat kis ke aab-o-gil mein hai hai dil-e-shorida-e-'ghaalib' tilism-e-pech-o-tab rahm kar apni tamanna par ki kis mushkil mein hai