saf kahte ho magar kuchh nahin khulta kahna

By ameer-minaiOctober 24, 2020
saf kahte ho magar kuchh nahin khulta kahna
baat kahna bhi tumhaara hai muamma kahna
ro ke us shokh se qasid mera rona kahna
hans pade us pe to phir harf-e-tamanna kahna


masal-e-maktub na kahne mein hai kya kya kahna
na meri tarz-e-khamoshi na kisi ka kahna
aur thodi si shab-e-wasl badha de ya-rab
subh nazdik hamein un se hai kya kya kahna


phad khata hai jo ghairon ko jhapat kar sag-e-yar
main ye kahta hun mere sher tera kya kahna
har bun-e-mu-e-mizha mein hain yahan sau tufan
ain ghaflat hai mari aankh ko dariya kahna


wasf-e-rukh mein jo sune sher wo hans kar bole
sher hain nur ke hai nur ka tera kahna
la sakoge na zara jalwa-e-didar ki tab
arini munh se na ai hazrat-e-musa kahna


kar liya ahd kabhi kuchh na kahenge munh se
ab agar sach bhi kahen tum hamein jhuta kahna
khak mein zid se milao na mere aansu ko
sachche moti ko munasib nahin jhuta kahna


kaise nadan hain jo achchhon ko bura kahte hain
ho bura bhi to use chahiye achchha kahna
dam-e-akhir tu buto yaad khuda karne do
zindagi bhar to kiya main ne tumhaara kahna


padhte hain dekh ke us but ko farishte bhi darud
marhaba salle-ala salle-ala kya kahna
ai buto tum jo ada aa ke karo masjid mein
lab-e-mehrab kahe nam-e-khuda kya kahna


in hasinon ki jo tarif karo chidhte hain
sach to ye hai ki bura hai unhen achchha kahna
shauq kabe liye jata hai hawas jaanib-e-dair
mere allah baja laun mein kis ka kahna


sari mahfil ko ishaaron mein luta do ai jaan
sikh lo chashm-e-sukhan-go se latifa kahna
ghatte ghatte mein raha ishq-e-kamar mein aadha
jama-e-tan ko mere chahiye nima kahna


mein to aankhon se baja lata hun irshad-e-huzur
aap sunte nahin kanon se bhi mera kahna
chusti-e-taba se ustad ka hai qaul 'amir'
ho zamin sust magar chahiye achchha kahna


88099 viewsghazalEnglish