saf zahir hai nigahon se ki hum marte hain munh se kahte hue ye baat magar darte hain ek taswir-e-mohabbat hai jawani goya jis mein rangon ke ewaz khun-e-jigar bharte hain ishrat-e-rafta ne ja kar na kiya yaad hamein ishrat-e-rafta ko hum yaad kiya karte hain aasman se kabhi dekhi na gai apni khushi ab ye haalat hai ki hum hanste hue darte hain sher kahte ho bahut khub tum 'akhtar' lekin achchhe shair ye suna hai ki jawan marte hain