safar-e-manzil-e-shab yaad nahin log rukhsat hue kab yaad nahin awwalin qurb ki sarshaari mein kitne arman the jo ab yaad nahin dil mein har waqt chubhan rahti thi thi mujhe kis ki talab yaad nahin wo sitara thi ki shabnam thi ki phul ek surat thi ajab yaad nahin kaisi viran hai guzar-gah-e-khayal jab se wo aariz o lab yaad nahin bhulte jate hain mazi ke dayar yaad aaen bhi to sab yaad nahin aisa uljha hun gham-e-duniya mein ek bhi khwab-e-tarab yaad nahin rishta-e-jaan tha kabhi jis ka khayal us ki surat bhi to ab yaad nahin ye haqiqat hai ki ahbab ko hum yaad hi kab the jo ab yaad nahin yaad hai sair-e-charaghan 'nasir' dil ke bujhne ka sabab yaad nahin