safar kaisa ye karna paD raha hai
By chand-kakralviJanuary 19, 2024
safar kaisa ye karna pad raha hai
shararon se guzarna pad raha hai
fazaen to mo'attar ho rahi hain
gulabon ko bikharna pad raha hai
kisi ko zindagi dene ki khatir
hamein har roz marna pad raha hai
badan mein hain hazaron zakhm phir bhi
samundar mein utarna pad raha hai
jahan chalte hue jalte hain talwe
wahan hum ko thaharna pad raha hai
shikam se bandh kar sha'ir ke patthar
ghazal ka pet bharna pad raha hai
shararon se guzarna pad raha hai
fazaen to mo'attar ho rahi hain
gulabon ko bikharna pad raha hai
kisi ko zindagi dene ki khatir
hamein har roz marna pad raha hai
badan mein hain hazaron zakhm phir bhi
samundar mein utarna pad raha hai
jahan chalte hue jalte hain talwe
wahan hum ko thaharna pad raha hai
shikam se bandh kar sha'ir ke patthar
ghazal ka pet bharna pad raha hai
23176 viewsghazal • English