safar ki sham thakan be-panah thi meri

By abid-razaFebruary 17, 2025
safar ki sham thakan be-panah thi meri
kanar-e-ab-e-rawan khema-gah thi meri
ufuq se rauzan-e-tarik khinchta tha mujhe
main be-charagh tha aur shab siyah thi meri


nasheb-e-jaan mein utarta hun jis ki choti se
usi pahad pe ek khanqah thi meri
mera ye zo'm ki mujh par rawa hai khun us ka
kaniz-e-shokh magar be-gunah thi meri


shikastagi mein giraata raha main khisht-ba-khisht
mera badan tha ki ek sadd-e-rah thi meri
qadim aag se aatish-kada kiya raushan
hawa-e-tund badi khair-khwah thi meri


main ek 'umr uthata raha sukut ka bojh
dabi hui mere andar karah thi meri
98104 viewsghazalEnglish