safar ki zulmaton mein ye sitara chahiye mujhko

By babar-zahrabJanuary 2, 2024
safar ki zulmaton mein ye sitara chahiye mujh ko
abhi teri mohabbat ka sahaara chahiye mujh ko
koi taza bahut taza nazar ka zawiya mil jae
koi raushan bahut raushan nazara chahiye mujh ko


mere alfaz ki jholi kahin khali na rah jae
ye jo sarmaya-e-gham hai ye sara chahiye mujh ko
koi barsat ka baadal yahan bar-e-digar aae
dhanak jaisa koi lamha dubara chahiye mujh ko


khuda-e-bahr mujh ko paniyon mein sans di tun ne
magar ab is samundar se kinara chahiye mujh ko
abhi to ek sitare par qadam main ne jamae hain
abhi to aasman sare ka sara chahiye mujh ko


teri khwahish ke aangan mein ho mere pyar ki chhaya
mukammal is haweli par ijara chahiye mujh ko
abhi 'zahrab' us ko dekhta hun chashm-e-hairat se
abhi dariya-e-hairat ka kinara chahiye mujh ko


55860 viewsghazalEnglish