safar mein dhup to hogi jo chal sako to chalo sabhi hain bhid mein tum bhi nikal sako to chalo kisi ke waste rahen kahan badalti hain tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo yahan kisi ko koi rasta nahin deta mujhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo kahin nahin koi suraj dhuan dhuan hai faza khud apne aap se bahar nikal sako to chalo yahi hai zindagi kuchh khwab chand ummiden inhin khilaunon se tum bhi bahal sako to chalo