safar mein ek jag tamam ho gaya ab apne ghar ka rasta bhi kho gaya phir us ke pairahan ki bu na mil saki wo mere khun mein aastin dubo gaya wo neshtar jo us ke hath mein na tha gaya to meri sans mein piro gaya ab aansuon ki fasl katte raho judaiyon ke bij wo to bo gaya na jaane kis nagar aaj sham ho sahar hui to ji udas ho gaya guzar gai jo be-gharon pe kya kahen zamin ko abr-e-barshgal dho gaya meri to aankh nam na ho saki magar wo mujh pe mere aansuon se ro gaya likhega kaun is sadi ki dastan har ek pal hazar sal ho gaya