safar mein mushkilen aaen to jurat aur badhti hai koi jab rasta roke to himmat aur badhti hai bujhane ko hawa ke sath gar barish bhi aa jae charagh-e-be-haqiqat ki haqiqat aur badhti hai meri kamzoriyon par jab koi tanqid karta hai wo dushman kyun na ho us se mohabbat aur badhti hai zarurat mein azizon ki agar kuchh kaam aa jao raqam bhi dub jati hai adawat aur badhti hai agar bikne pe aa jao to ghat jate hain dam aksar na bikne ka irada ho to qimat aur badhti hai