safar tawil hai ehsan-e-asman na lun
By shehpar-rasoolOctober 4, 2023
safar tawil hai ehsan-e-asman na lun
tere khayal ki chadar ko sar pe tan na lun
takallufat ki jang aur dast-e-la-mahdud
ye sochta hun ki main hi shikast man na lun
saubaton ka badal jhuti rahaten to nahin
ye tapti dhup mein wadon ka saeban na lun
main us se mang lun sari rifaqaten apni
ki us gharib ka aisa bhi imtihan na lun
meri nigah ne dhunde hain raste kuchh aur
main apni rah mein pahla koi nishan na lun

12744 viewsghazal • English