safar zamin hi pe tha zer-e-asman mera
By badiuzzaman-khawarOctober 8, 2023
safar zamin hi pe tha zer-e-asman mera
mila kahin na hawa ko magar nishan mera
sabab hai kya meri takhliq ka bata mujh ko
na jab hayat hai meri na ye jahan mera
mita ke dekh ye sadiyon ka fasla ek din
bahut qarib tere ghar se hai makan mera
main aasman mein udta hun sham tak to mujhe
meri zamin pe bulata hai aashiyan mera
abhi to sirf karahen hain mere honton par
suna hai git kisi ne abhi kahan mera
jo baat sach hai wo kah dun to phir khule shayad
ki mere yaron mein hai kaun ham-zaban mera
mujhe zamin ke andheron mein phenk kar yarab
liya hai tu ne bahut sakht imtihan mera
suna hai sham-o-sahar intizar karte hain
ufuq ke par ki basti mein raftagan mera
main apni zat ka ab kyunkar e'tibar karun
wajud bhi hai 'adam ki taraf rawan mera
kisi ujale ne bheja nahin payam mujhe
suna hai jab se andhera hai mezban mera
jo padh chuke hain mujhe un se puchh lo 'khawar'
hai dusron se juda kis qadar bayan mera

98195 viewsghazal • English