sahaara chahiye koi bashar ko

By hakim-mazhar-subhan-usmaniJanuary 12, 2022
sahaara chahiye koi bashar ko
badha dije zara dard-e-jigar ko
khata-e-did hai taslim lekin
main aakhir kya karun apni nazar ko


hamari to shab-e-gham hai musalsal
sahar hum ne nahin samjha sahar ko
main har parde mein tujh ko dekh lunga
wafa ne raushni di hai nazar ko


main kin nazron se tum ko dekhta hun
zara pahchan lo meri nazar ko
tumhaare baad wo tanhaiyan hain
mujhe ghar aur main takta hun ghar ko


ye mahfil raushni-e-shama tak hai
na hoga koi parwana sahar ko
bahut hai ek jhalak jalwe ki 'mazhar'
sahaara chahiye zauq-e-nazar ko


49021 viewsghazalEnglish