sahaara main nahin banta agar udasi ka

By ahmad-kamal-hashmiMay 24, 2024
sahaara main nahin banta agar udasi ka
thikana hota kahan aur kidhar udasi ka
wabai shakl bana li hai is maraz ne ab
shikar hone laga har bashar udasi ka


bila-sabab bhi kabhi dil udas hota hai
koi jawaz nahin hota har udasi ka
har ek mod se rasta naya nikalta hai
tamam hota nahin hai safar udasi ka


main teri chaaragari ko salam karta hun
magar 'ilaj nahin chaaragar udasi ka
bas ek bar use main ne udas dekha tha
hai aaj tak mere dil par asar udasi ka


khushi ka apna maza jo hai so hai apni jagah
maza ek apna alag hai magar udasi ka
darun-e-khana bhi wo hai barun-e-khana bhi
'kamal' ghar hai tumhaara ki ghar udasi ka


41616 viewsghazalEnglish