sahar ka hosh nahin sham ka khuda-hafiz ye ibtida hai to anjam ka khuda-hafiz suna na pae the hum aur wo muskura baithe hikayat-e-dil-e-nakaam ka khuda-hafiz qarar lutta hai phir bhi duaen deta hun ki jaane wale ke har gam ka khuda-hafiz hamein to sakhti-e-rah-e-hayat ras aai subuk-rawan-e-rah-e-am ka khuda-hafiz nazar ne chheda fasana to hashr jag utha maal-e-nama-o-paigham ka khuda-hafiz koi guzar to raha hai nazar churae hue tajalliyat-e-dar-o-baam ka khuda-hafiz dhuan charagh-e-haram ka hai ghaza-e-rukhsar nazara-sazi-e-asnam ka khuda-hafiz nazar milane lage bul-hawas bhi 'jauhar' se janab ke karam-e-am ka khuda-hafiz