sahar-o-sham mein tanzim kahan hoti hai
By sarwar-armanNovember 17, 2020
sahar-o-sham mein tanzim kahan hoti hai
khwahish-e-subh ki tajsim kahan hoti hai
lut le jata hai bas chalta hai jis ka jitna
raushni shahr mein taqsim kahan hoti hai
un mohallon mein jahan hum ne guzari hai hayat
madrase hote hain talim kahan hoti hai
shahryaron ne ujada ho jise hathon se
phir se aabaad wo aqlim kahan hoti hai
tairte hain jo ghulamon ki jhuki aankhon mein
un sawalat ki tafhim kahan hoti hai
jis ka eazaz tere dar ki gadai ho use
umr-bhar khu-e-zar-o-sim kahan hoti hai
hum gharibon ki jabin par kisi jabir ke huzur
tohmat-e-sajda-e-taslim kahan hoti hai

68452 viewsghazal • English