sahil pe koi Dub ke ubhra na dubara

By irfan-aazmiFebruary 6, 2024
sahil pe koi dub ke ubhra na dubara
dariya se bala-khez hai girdab-e-kinara
har shakhs ko ab chahiye daulat ka sahaara
hum hain ki jo karte hain mohabbat pe guzara


tadpa ke tumhin ne mujhe bedar kiya hai
thukra ke tumhin ne mujhe chahat pe ubhaara
muhtat nigahon se har ek phul ko dekhun
darta hun ki chubh jae na aankhon mein nazara


dastur-e-zaban-bandi ka 'alam bhi 'ajab hai
kahni ho koi baat to karte hain ishaara
ghar koi salamat hai na sar koi salamat
ai dost yahi shahr-e-mohabbat hai tumhaara


ek roz to ye tum ko batana hi padega
kis jurm ki padash mein 'irfan' ko mara
46747 viewsghazalEnglish