sahme gumbad aur kabutar raat bhar
By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
sahme gumbad aur kabutar raat bhar
siskiyan lete hain mil kar raat bhar
jism ki sab khanqahon mein sama’
aur sadkon par qalandar raat bhar
meri aankhon mein udasi bhar gae
barishon mein bhigte ghar raat bhar
ab na kar un majlisi raaton ka zikr
ab jagata hai koi dar raat bhar
chand ko main kah diya kal saf-saf
kaun dekhe ek manzar raat bhar
kash meri subh us ke sath ho
jo raha hai mere andar raat bhar
ek jhalak dikhla ke chhup jate ho tum
aur tadapta hai samundar raat bhar
kasmasata jagta sota raha
rang mein duba wo paikar raat bhar
siskiyan lete hain mil kar raat bhar
jism ki sab khanqahon mein sama’
aur sadkon par qalandar raat bhar
meri aankhon mein udasi bhar gae
barishon mein bhigte ghar raat bhar
ab na kar un majlisi raaton ka zikr
ab jagata hai koi dar raat bhar
chand ko main kah diya kal saf-saf
kaun dekhe ek manzar raat bhar
kash meri subh us ke sath ho
jo raha hai mere andar raat bhar
ek jhalak dikhla ke chhup jate ho tum
aur tadapta hai samundar raat bhar
kasmasata jagta sota raha
rang mein duba wo paikar raat bhar
40670 viewsghazal • English