sahme paDe hain zehn mein kitne udas dard
By satyawan-satyaJanuary 5, 2024
sahme pade hain zehn mein kitne udas dard
us par bhi aur badh gae hain aas-pas dard
apna to dard dard hai apne liye magar
kyon dusron ka bhi nahin lagta hai khas dard
saqi dawa to roz pilata hai tu mujhe
par aaj man hai pine ka dasiyon gilas dard
mitti nahin hai is liye bhi meri tishnagi
rakh deta hai labon pe nai roz pyas dard

41635 viewsghazal • English