sahra lage kabhi kabhi dariya dikhai de hairan hun main kya hai jahan kya dikhai de aawaz koi ho main usi ki sada sunun har-samt mujh ko ek hi chehra dikhai de nadaniyon ka dil ki bhi koi ilaj ho ban ke wo ghair bhi mujhe apna dikhai de mujh ko to anjuman hi laga apni zat mein ek shakhs dusron ko jo tanha dikhai de kis ka yaqin kijiye kis ka na kijiye har chaaragar mujhe to lutera dikhai de 'jawed' apni apni basirat ki baat hai sab din kahin mujhe to andhera dikhai de