sahra mein jo diwane se baad-e-saba uljhi

By jumbish-khairabadiNovember 3, 2020
sahra mein jo diwane se baad-e-saba uljhi
har mauj-e-gul-e-tar se wo zulf-e-dota uljhi
ilzam nahin tujh par ai baadiya-paimai
diwane ki qismat se sahra ki hawa uljhi


paband-e-nazakat thi nairangi-e-gul-chini
surkhi-e-gul-e-tar se hathon ki hina uljhi
ya husn-e-kashish mein jaan aur aap ne dali hai
ya shokhi-e-fitrat hai dar-parda haya uljhi


khamosh tajalli ki fitrat main samajhta hun
kyun khirman-e-dil se hi ai barq-e-ada uljhi
dil mein teri yaadon ne wo bijliyan chamkain
aankhon se mari aa kar sawan ki ghata uljhi


zamin meri uljhan ke uljhe hue gesu hain
be-wajh meri 'jumbish' kab tab-e-rasa uljhi
33542 viewsghazalEnglish